mujh ko mirī shikast kī dohrī sazā milī
tujh se bichhaḌ ke zindagī duniyā se jā milī
ik qulzum-e-hayāt kī jānib chalī thī umr
ik din ye jū-e-tishnagī sahrā se aa milī
ye kaisī be-hisī hai ki patthar huī hai aañkh
vaise to āñsuoñ kī kumak bār-hā milī
maiñ kaañp uThā thā ḳhud ko vafādār dekh kar
mauj-e-vafā ke paas hī mauj-e-fanā milī
dīvār-e-hijr par the bahut sāhiboñ ke naam
ye basti-e-firāq bhī shohrat-sarā milī
phir rūd-e-bevafā.ī maiñ bahtā rahā ye jism
ye rañj hai ki terī taraf se duā milī
vo kaun ḳhush-nasīb the jo mutma.in phire
mujh ko to us nigāh se usrat sivā milī
ye umr umr koī ta.āqub meñ kyuuñ rahe
yādoñ meñ gūñjtī huī kis kī sadā milī
jis kī havas ke vāste duniyā huī aziiz
vāpas hue to us kī mohabbat ḳhafā milī