ret kī sūrat jaañ pyāsī thī aañkh hamārī nam na huī
terī dard-gusārī se bhī ruuh kī uljhan kam na huī
shāḳh se TuuT ke be-hurmat haiñ vaise bhī be-hurmat the
ham girte pattoñ pe malāmat kab mausam mausam na huī
nāg-phanī sā shola hai jo āñkhoñ meñ lahrātā hai
raat kabhī hamdam na banī aur niiñd kabhī marham na huī
ab yādoñ kī dhuup chhāñv meñ parchhā.īñ sā phirtā huuñ
maiñ ne bichhaḌ kar dekh liyā hai duniyā narm qadam na huī
merī sahrā-zād mohabbat abr-e-siyah ko DhūñDhtī hai
ek janam kī pyāsī thī ik buuñd se tāza-dam na huī