umr inkār kī dīvār se sar phoḌtī hai
ranj ye hai use aayā na salīqa apnā
ek din raat ke asrār khuleñge ham par
shak kī bauchhār se chhalnī huā siina apnā
ḳhurd-bīnoñ se ka.ī daaġh chhupā.e apne
ġham-gusāroñ ne koī bhed na paayā apnā
apnī khoī huī āvāz rasā.ī māñge
jaañ se uljhā hai koī naġhma rasīlā apnā
niiñd vo ret kī dīvār ki mismār huī
apnī āñkhoñ meñ chhupā rakkhā hai sahrā apnā
zindagī ek guzartī huī parchhā.īñ hai
ā.īna dekhtā rahtā hai tamāshā apnā
barg-e-āvāz ke mānind uḌeñge ye pahāḌ
ġharq ho jā.egā paanī meñ jazīra apnā
ḳhvāb dekhā thā ki ham hoñge bichhaḌne vaale
munhadim ho ga.e par ḳhvāb na TuuTā apnā
chāñd kī tarh ka.ī daaġh haiñ peshānī par
maut ke sāmne mahtāb hai chehrā apnā