utrā jo iltifāt kā dariyā na thā kabhī
dil is qadar bhī hijr kā maarā na thā kabhī
sarmāya-e-hayāt the fardā ke ḳhvāb so
likhā bisāt-e-jāñ pe ḳhasārā na thā kabhī
bikhrā vo ḳhaak ho ke mirī rahguzār meñ
jo shaḳhs aa ke ḳhvāb meñ miltā na thā kabhī
tanhā.ī ḳhauf ye shab-e-dījūr ye ghuTan
guzregī aise qabr meñ sochā na thā kabhī
ik aan meñ ye paikar-e-ḳhākī bikhar gayā
ye sāneha to ruuh pe guzrā na thā kabhī
mastūr thā hijāb-e-taqaddus meñ soz-e-ishq
āvāza-e-ḳhirām-e-tamannā na thā kabhī
nāsūr ban ke ruuh ko ghāyal kiye gayā
jo ashk chashm-e-nam ne girāyā na thā kabhī
to ye na justujū hai na zauq-e-junūn-e-ishq
vīrān aisā shahr-e-tamannā na thā kabhī
'anjum' ye shab-gazīda sahar kyuuñ nasīb meñ
maiñ ne charāġh-e-shauq bujhāyā na thā kabhī