maiñ tere zulm dikhātā huuñ apnā mātam karne ke liye
mirī āñkhoñ meñ aañsū aa.e tirī āñkheñ nam karne ke liye
miTTī se huā mansūb magar ātiash-ḳhāna sā jaltā huuñ
ka.ī sūraj mujh meñ Duub ga.e mirā saayā kam karne ke liye
vo yaad ke sāhil par saare motī bikhrā.e baiThī thī
ik lahar lahū meñ uTThī thī mujhe tāza-dam karne ke liye
aaj apne zahr se kaaT diyā sab zañg purāne lafzoñ kā
ā.inda ke andeshoñ kī tārīḳh raqam karne ke liye
mumkin hai ki ab bhī hoñToñ par koī bhūlā bisrā shola ho
maiñ jalte jalte raakh huā lahja maddham karne ke liye