abhī nazar meñ Thahar dhyān se utar ke na jā
is ek aan meñ sab kuchh tabāh kar ke na jā
mujhe hijāb nahīñ bosa-e-judā.ī se
magar laboñ ke piyāle meñ pyaas bhar ke na jā
mire ḳhayāl meñ terā koī javāz nahīñ
ḳhudā kī tarah mirī zaat meñ bikhar ke na jā
sambhāl apnī nigāhoñ meñ vāpsī ke savāl
mire javāb ke pindār se guzar ke na jā
har ek rāsta dīvār ban ke haa.il hai
na jā ki dasht na.e silsile haiñ ghar ke na jā