Saqi Faruqi

ye kis ne bharam apni zamin ka nahin rakkha

Saqi Faruqi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1936-2018
ye kis ne bharam apnī zamīñ kā nahīñ rakkhā
ham jis ke rahe us ne kahīñ kā nahīñ rakkhā
dekhā ki abhī ruuh meñ fariyād-kunāñ hai
sajda jise pāband jabīñ kā nahīñ rakkhā
afsos ki inkār kī manzil nahīñ aa.ī
har chand ki dar band nahīñ kā nahīñ rakkhā
aur apnī tarah ke yahāñ sālik haiñ ka.ī aur
har shaḳhs par ilzām yaqīñ kā nahīñ rakkhā
gulzār khilā.e jahāñ bāzār lagā.e
ham ḳhāk-nashīnoñ ko vahīñ kā nahīñ rakhā
ek aisī qanā.at hai tabī.at meñ ki jis ne
mohtāj hameñ nān-e-javīñ kā nahīñ rakkhā
us ghar ke muqaddar meñ tabāhī na likhī ho
vo jis ne ḳhayāl apne makīñ kā nahīñ rakkhā
Top Urdushayar.com