badan churāte hue ruuh meñ samāyā kar
maiñ apnī dhuup meñ soyā huā huuñ saayā kar
ye aur baat ki dil meñ ghanā añdherā hai
magar zabān se to chāñdnī luTāyā kar
chhupā huā hai tirī ājizī ke tarkash meñ
anā ke tiir isī zahr meñ bujhāyā kar
koī sabīl ki pyāse panāh māñgte haiñ
safar kī raah meñ parchhā.iyāñ bichhāyā kar
ḳhudā ke vāste mauqa.a na de shikāyat kā
ki dostī kī tarah dushmanī nibhāyā kar
ajab huā ki girah paḌ ga.ī mohabbat meñ
jo ho sake to judā.ī meñ raas aayā kar
na.e charāġh jalā yaad ke ḳharābe meñ
vatan meñ raat sahī raushnī manāyā kar