vo dukh jo so.e hue haiñ unheñ jagā dūñgā
maiñ āñsuoñ se hamesha tirā patā dūñgā
bujhe laboñ pe hai bosoñ kī raakh bikhrī huī
maiñ is bahār meñ ye raakh bhī uḌā dūñgā
havā hai tez magar apnā dil na mailā kar
maiñ is havā meñ tujhe duur tak sadā dūñgā
mirī sadā pe na barseñ agar tirī āñkheñ
to harf o saut ke saare diye bujhā dūñgā
jo ahl-e-hijr meñ hotī hai ek diid kī rasm
tirī talāsh meñ vo rasm bhī uThā dūñgā