Saqi Faruqi

bahar ke asrar lahu ke andar khulte hain

Saqi Faruqi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1936-2018
bāhar ke asrār lahū ke andar khulte haiñ
band āñkhoñ par kaise kaise manzar khulte haiñ
apne ashkoñ se apnā dil shaq ho jaatā hai
bārish kī bauchhār se kyā kyā patthar khulte haiñ
lafzoñ kī taqdīr bañdhī hai mere qalam ke saath
haath meñ aate hī shamshīr ke jauhar khulte haiñ
shaam khule to nashshe kī had jaarī hotī hai
tishna-kāmoñ kī hujjat par sāġhar khulte haiñ
'sāqī' pāgal kar dete haiñ vasl ke ḳhvāb mujhe
us ko dekhte hī āñkhoñ meñ bistar khulte haiñ
Top Urdushayar.com