ḳhāmushī chheḌ rahī hai koī nauha apnā
TūTtā jaatā hai āvāz se rishta apnā
ye judā.ī hai ki nisyāñ kā jahannam koī
raakh ho jaa.e na yādoñ kā zaḳhīra apnā
in havāoñ meñ ye siskī kī sadā kaisī hai
bain kartā hai koī dard purānā apnā
aag kī tarah rahe aag se mansūb rahe
jab use chhoḌ diyā ḳhaak thā shola apnā
ham use bhuul ga.e to bhī na pūchhā us ne
ham se kāfir se bhī jizya nahīñ māñgā apnā
ye nayā dukh ki mohabbat se hue haiñ sairāb
pyaas ke bojh se Duubā na safīna apnā