dard ke itaab le dost use shumār kar
ḳhuun kā hisāb de zaḳhm iḳhtiyār kar
dhuup bechtā huuñ maiñ din meñ aa gayā huuñ maiñ
chāñd ke savād meñ ek shab guzār kar
yaad se rihā na ho raat se judā na ho
niiñd se ḳhafā na ho ḳhvāb intizār kar
chāndnī mudām ho raushnī tamām ho
vasl meñ qayām ho hijr meñ dayār kar
aaj ruuh aur dil ek zulm se ḳhajil
yaar aadmī se mil sarhadeñ utaar kar