Saqi Faruqi

yahin kahin pe kabhi shola-kar main bhi tha

Saqi Faruqi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1936-2018
yahīñ kahīñ pe kabhī shola-kār maiñ bhī thā
shab-e-siyāh meñ ik chashm-e-mār maiñ bhī thā
bahut se log the suqrāt-kar o īsā-dam
usī hujūm meñ ik be-shumār maiñ bhī thā
ye chāñd taare mire gird raqs karte the
likhā huā hai zamīñ kā madār maiñ bhī thā
sunā hai zinda huuñ hirs-o-havas kā banda huuñ
hazār pahle mohabbat-guzār maiñ bhī thā
jo mere ashk the barg-e-ḳhizāñ kī tarh gire
baras ke khul gayā abr-e-bahār maiñ bhī thā
vo bel buuTe banā.e ki dekhte rahe log
ye haath kaaT liye mīna-kar maiñ bhī thā
mujhe samajhne kī koshish na kī mohabbat ne
ye aur baat zarā pechdār maiñ bhī thā
supurdagī meñ na dekhī thī tamkanat aisī
ye rañj hai ki anā kā shikār maiñ bhī thā
mujhe aziiz thā har Dūbtā huā manzar
ġharaz ki ek zavāl-āshkār maiñ bhī thā
mujhe gunāh meñ apnā surāġh miltā hai
vagarna pārsā-o-dīn-dār maiñ bhī thā
barā.e dars ab atfāl-e-shahr aate haiñ
harām-kār-e-ġhinā-o-qimār maiñ bhī thā
maiñ kyā bhalā thā ye duniyā agar kamīnī thī
dar-e-kamīngī pa chobdār maiñ bhī thā
vo āsmānī balā lauT kar nahīñ aa.ī
isī zamīn par ummīd-vār maiñ bhī thā
Top Urdushayar.com