Anjum Usman

pas-e-yaqin kahin hum bhi tere guman mein hain

Anjum Usman

pas-e-yaqīñ kahīñ ham bhī tire gumān meñ haiñ
tirā nishāñ haiñ ye taare jo āsmān meñ haiñ
haram-sarā thā tirā dil so chhoḌ aa.e use
vagarna kahne ko ab bhī usī makān meñ haiñ
mire nasīb ke ḳhush-rañg ḳhvāb aur sarāb
na is jahān meñ the aur na us jahān meñ haiñ
maiñ apne vāste in meñ se ḳhud hī chun lūñgī
vo sānehe jo mayassar tirī dukān meñ haiñ
sarāb haiñ ye tumhāre sab ā.ina-ḳhāne
basārteñ bhī na-jāne kis imtihān meñ haiñ
kabhī vo ā.ina-e-chashm meñ sañvarte the
vo saare ḳhvāb nisāboñ ke jo bayān meñ haiñ
na-jāne lā.eñge dil par tabāhiyāñ kyā kyā
vo hādse jo abhī tak tirī kamān meñ haiñ
ye pul-sirāt kahāñ le chalā hameñ 'anjum'
na ham zamīñ ke rahe aur na āsmān meñ haiñ
Top Urdushayar.com