ḳhvāb ko din kī shikastoñ kā mudāvā na samajh
niiñd par takiya na kar shab ko masīhā na samajh
hijr ke shahr meñ gulzār kahāñ milte haiñ
sub.h ko dasht samajh shaam ko vīrāna samajh
maiñ kahīñ aur kā TuuTā huā taarā huuñ koī
tū mujhe apne sitāroñ se ulajhtā na samajh
mujh pe khul jā ki mire dil meñ koī pech paḌe
apnī tanhā.ī ke asrār-e-zuleḳhāna samajh
rāsta de ki mohabbat meñ badan shāmil hai
maiñ faqat ruuh nahīñ huuñ mujhe halkā na samajh