zamānoñ ke ḳharāboñ meñ utar kar dekh letā huuñ
purāne jañgaloñ meñ bhī samundar dekh letā huuñ
jo tūfānoñ ke Dar se pāniyoñ meñ sar chhupātī haiñ
maiñ aisī sīpiyoñ meñ koī gauhar dekh letā huuñ
hamesha ḳhauf ke narġhe meñ rahtā huuñ magar phir bhī
abābīloñ kī minqāroñ meñ lashkar dekh letā huuñ
vo dehātoñ ke raste hoñ ki hoñ fōtpath shahroñ ke
jahāñ par raat paḌ jaa.e vahāñ ghar dekh letā huuñ
bahut sī ḳhvāhishoñ ko maiñ panapne hī nahīñ detā
magar un kī nigāhoñ meñ soyambar dekh letā huuñ