ye zulm hai ḳhayāl se ojhal na kar use
jo hāsil-e-safar hai mo.attal na kar use
vo sho.ala-e-savāl ki duniyā ujaal de
dil ke charāġh meñ to muqaffal na kar use
har shelf par saje haiñ magar dushmanoñ ke sar
nādāñ terā dimāġh hai maqtal na kar use
hairat tirī sarisht hai nā-ras tirī nigāh
vo uqda-e-jamal abhī hal na kar use
ye aur baat ek sitāre se jañg hai
bas jañg hai gihād-e-musalsal na kar use