Anjum Usman

har pal tera KHayal surud-e-KHayal hai

Anjum Usman

har pal tirā ḳhayāl surūd-e-ḳhayāl hai
so chashm-e-tar bhī ā.īna-e-aks-e-yār hai
us hīla-jū kī yaad bhī ab raftanī huī
ik hijr rah gayā hai so vo be-shumār hai
be-ḳhvāb ratjage kabhī ashkoñ ke haiñ charāġh
hai raftagāñ kā sog dil-e-be-qarār hai
tark-e-ta.alluqāt ko go muddateñ huiiñ
ab bhī dil-e-tabāh magar sogvār hai
haft-āsmāñ bhī laakh tirā parda-dār ho
har zarra kā.enāt kā timsāl-dār hai
mauj-e-tilism-e-shauq fareb-e-gumāñ sahī
kyā kījiye ki dil ko tirā e'tibār hai
kab rakh sakī asīr-e-zamān-o-makāñ kī qaid
'anjum' nigār-e-zīst to musht-e-ġhubār hai
Top Urdushayar.com