sūraj se ras bhañvar se tū sāhil kashīd kar
sahrā ke zarre zarre se mahmil kashīd kar
in rā.egāñiyoñ se kinārā na kar qubūl
lā-hāsilī ke karb se hāsil kashīd kar
bhar tū sitāra-vār uḌāneñ falak ke paar
aur lā-makāñ se phir koī manzil kashīd kar
jazboñ kī hiddatoñ se tū barfāb khīñch le
mīnā-e-ishq se tū mirā dil kashīd kar
tasḳhīr kar fishār-e-rag-e-āftāb ko
qaus-e-quzah se phir had-e-fāsil kashīd kar
imkān se tahayyur o shīshe se aks chhīn
zulmāt-e-shab se tū mah-e-kāmil kashīd kar
ġham-hā-e-nā-rasā.ī-e-zauq-e-talab sameT
arzāniyoñ se shauq kī mushkil kashīd kar
bāda-o-añgbīñ se mire ḳhāl-o-ḳhad sañvār
maanī ke shāhkār se ik til kashīd kar
soz-e-darūñ tarāsh kisī barf-zār se
yaḳh-basta ashk mai ke muqābil kashīd kar
'anjum' sharār-e-ishq hai hañgāma-e-alast
band-e-hijāb se use ġhāfil kashīd kar