Anjum Usman

saat-e-zer-o-zabar ke darmiyan koi to hai

Anjum Usman

sā.at-e-zer-o-zabar ke darmiyāñ koī to hai
sun pas-e-idrāk pesh-e-āsmāñ koī to hai
maiñ ḳhud apne baab meñ rahtī huuñ mahv-e-justujū
ham-rikāb-e-vahshat-e-reg-e-ravāñ koī to hai
ajnabī haiñ saarī āvāzeñ sarā-e-dahr meñ
phir bhī yuuñ lagtā hai merā ham-zabāñ koī to hai
haiñ sabhī banjar ḳhayāl-o-ḳhvāb kī zebā.iyāñ
haañ bas itnā hai ki zeb-e-dāstāñ koī to hai
raqs farmā.eñ ragoñ meñ ishq kī chiñgāriyāñ
kah uThe ya.anī talab sho.ala-ba-jāñ koī to hai
be-sutūñ aflāk be-buniyād raqsāñ hai zamīñ
thaam rakkhā hai kisī ne ye jahāñ koī to hai
ek naqsh-e-yād-e-yār ik partav-e-husn-e-fareb
merī bazm-ārā.iyoñ kā rāz-dāñ koī to hai
bar-sar-e-hijrāñ bhī vābasta hai ummīd-e-visāl
ham sā shahr-e-ārzū meñ ḳhush-gumāñ koī to hai
rah-navard-e-ishq hai ġham āshnā-e-iztirāb
is dayār-e-justujū meñ zau-fishāñ koī to hai
vus.ateñ 'anjum' faromānda haiñ jis ke baab meñ
māvarā-e-kul makāñ-o-lā-makāñ koī to hai
Top Urdushayar.com