Anjum Usman

jo chand sikkon ki chah mein kin wo hijraten kya shumar karna

Anjum Usman

jo chand sikkoñ kī chaah meñ kiiñ vo hijrateñ kyā shumār karnā
safar meñ apnoñ se dūriyoñ kī aziyyateñ kyā shumār karnā
jo mere dil kī ujaaḌ bastī meñ ek mausam Thahar gayā hai
balā se aa.e bahār yā phir ḳhizāñ ruteñ kyā shumār karnā
jo raushnī kā nagar kabhī thā vo aaj añdheroñ meñ gum huā hai
ujaaḌ añdherī udaas vīrāñ imārateñ kyā shumār karnā
sameT leñge ham apne dāman meñ apne hisse kī nafratoñ ko
na thiiñ hamāre nasīb meñ jo vo chāhateñ kyā shumār karnā
munāfiqat ke ġharaz ke rishtoñ meñ kyuuñ vafā ko talāshtī ho
ḳhulūs-e-dil gar na ho to aisī qarābateñ kyā shumār karnā
mohabbatoñ meñ vo bhīge lamhe vo guzre pal vo ruteñ jo bītīñ
kahīñ fazāoñ meñ kho ga.iiñ jo vo sā.ateñ kyā shumār karnā
bhulā diiñ ham ne jafā.eñ saarī sitam vo saare bhulā diye haiñ
jo tum ho apne to ab tumhārī adāvateñ kyā shumār karnā
likhe the naam apne jin pe ham ne daraḳht saare vo kaT chuke haiñ
miTā diyā vaqt ne jinheñ vo ibārateñ kyā shumār karnā
rahīñ diloñ meñ na vus.ateñ ab na fursateñ ab na chāhateñ ab
na ab mayassar kabhī jo hoñgī vo sohbateñ kyā shumār karnā
ye sīm-o-zar ye harīr-o-atlas ye jāh-o-hashmat ye auj-o-sarvat
sukūn-e-dil hī na de sakeñ jo vo rāhateñ kyā shumār karnā
vo chāhateñ haiñ jo ḳhuun ban kar ragoñ meñ daurān kar rahī haiñ
mohabbatoñ se bharā ho dāman to nafrateñ kyā shumār karnā
tirī razā pe jhukā ke sar ko jo zer-e-teġh-e-sitam kiyā thā
vo ek sajda hai sab pe bhārī ibādateñ kyā shumār karnā
jo sham-e-bazm-e-suḳhan kabhī the na koī ab un ko jāntā hai
davām jin ko huā na hāsil vo shohrateñ kyā shumār karnā
na jaane mahrūmiyoñ ke kitne hī daaġh dilbar saje hue haiñ
kabhī jo puurī na ho sakeñgī vo hasrateñ kyā shumār karnā
ho rā.egāñ har safar to 'anjum' tamām raste haiñ ek jaise
na manzileñ jab nasīb meñ hoñ masāfateñ kyā shumār karnā
Top Urdushayar.com