Shakir Khaliq

tanhai ka gham Dhoen aur ro ro ji halkan karen

Shakir Khaliq

tanhā.ī kā ġham Dho.eñ aur ro ro jī halkān kareñ
is se behtar hogā ki vo mashq-e-tīr-e-kamān kareñ
vaqt kā ronā rone vaale vaqt ko zaa.e karte haiñ
palkoñ se lamhoñ kī kircheñ chunñe kā sāmān kareñ
saḌkoñ ke chaurāhoñ par jin ko tanhā.ī ghere ho
us sīmābī duniyā meñ kyuuñ jiine kā armān kareñ
bāhar kī duniyā meñ jin ko jins-e-vafā nāyāb lage
apne andar ke but-ḳhānoñ ko pahle vīrān kareñ
sūraj kī sat-rañgī kirneñ pyaas bujhāne aatī haiñ
sātoñ sakhiyāñ phūl-badan jab gañgā meñ ashnān kareñ
jo dhartī kī shah-rag kāTeñ shiryānoñ meñ zahr bhareñ
is mūrakh nagrī ke bāshī un hī ke gun-gān kareñ
Top Urdushayar.com