bhugat rahā huuñ ḳhud apne kiye kā ḳhamyāza
Tapak rahā hai jo āñkhoñ se ye lahū taaza
kisī kī yaad ke saa.e ko ham-safar samjhā
lagā sako to lagā lo junūñ kā andāza
kise majāl ki ab mere dil meñ ghar kar le
hai garche ab bhī khulā apne dil kā darvāza
nigār-e-vaqt ne har-sū kamand Daalī hai
bikhar na jaa.e kahīñ anjuman kā shīrāza
ḳhudā gavāh hai un ko bhī de rahā huuñ duā
jo kaste rahte haiñ 'shākir' pe roz āvāza