Shakir Khaliq

kab shauq mera jazbe se bahar na hua tha

Shakir Khaliq

kab shauq mirā jazbe se bāhar na huā thā
thā kaun sā qatra jo samundar na huā thā
kyā yaad tirī dil ko mire kar ga.ī tārīk
ik gosha bhī to is kā munavvar na huā thā
kis tarah koī ahd-e-vafā mujh se kare aaj
jab roz-e-azal meñ ye muqaddar na huā thā
dīdār kī hasrat hī huī vaj.h-e-ta.assuf
qismat meñ mirī harf-e-mukarrar na huā thā
āñkhoñ meñ jagah us ko milī vaah re taqdīr
vo qatra jo ḳhush-baḳhtī se gauhar na huā thā
ġharqāb huī kashti-e-hastī lab-e-sāhil
shākir' to abhī us kā shanāvar na huā thā
Top Urdushayar.com