ham pe tanhā.ī meñ kuchh aaise bhī lamhe aa.e
ban ga.e aap kī tasvīr hamāre saa.e
dard se kuchh ajab ahvāl thā dil kā kal raat
jaise rone kī kahīñ duur se āvāz aa.e
ek terā hī tabassum to na thā vaj.h-e-sukūñ
mere aañsū bhī mohabbat meñ bahut kaam aa.e
dil meñ ābād umīdeñ haiñ magar kaise na pūchh
din Dhale jaise daraḳhtoñ ke hoñ lambe saa.e
ham ko ik umr na jiine kā salīqa aayā
ham ne ik umr tamannāoñ ke dhoke khaa.e
apnī duniyā meñ ḳhushī aa.ī to aaise aa.ī
jaise ik naqsh bane bante hī phir miT jaa.e