Shauq Bahraichi

nai bazm-e-aish-o-nashat mein ye maraz suna hai ki aam hai

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
na.ī bazm-e-aish-o-nashāt meñ ye maraz sunā hai ki aam hai
kisī lomḌī ko malaria kisī meñDkī ko zukām hai
ye ajiib sāqī-e-māh-vash tire mai-kade kā nizām hai
huā jaise tū bhī divāliya na to ḳhum na mai hai na jaam hai
yahāñ zikr-e-āb-o-ta.ām kyā yahāñ khānā piinā harām hai
yahāñ bart rakhte haiñ roz sab yahāñ roz māh-e-siyām hai
na to muttafiq kisī amr meñ na to muttahid kisī kaam meñ
mire leaderoñ kā dimāġh hai ki himāqatoñ kā godām hai
abhī hai ġharīboñ kī chashm tar abhī un ke haal pe ik nazar
abe inqalāb Thahar zarā abhī tujh se aur bhī kaam hai
maiñ sunā chukā huuñ hazār baar unheñ dard-o-yās kī dāstāñ
na yaqīn ho to vo pūchh leñ ki gavāh telegram hai
abhī us ko jism to dhakne do abhī us ko peT to bharne do
abhī us ko fikr-e-avām kyā abhī nañgā bhūkā nizām hai
vahī ḳhādimāna ravish rahe ye ḳhayāl-e-rahbarī chhoḌ do
ise pī sakoge na dost tum ye bahut hī gāḌhā qavām hai
tujhe apne aur parā.e kā nahīñ kuchh shu.ūr abhī talak
mire jāñ-nisāroñ kī lisT meñ zarā dekh terā bhī naam hai
bhalā 'shauq' un se dabeñge kyā bhalā 'shauq' un se Dareñge kyā
bhalā 'shauq' dar se uTheñge kyā ye ḳhayāl dost kā ḳhaam hai
Top Urdushayar.com