zulf-e-darāz se ye numāyāñ hai ġhāliban
bhālū kī shakl kā koī insāñ hai ġhāliban
qaul o amal meñ jis ke nazar aa.e kuchh tazād
vo maulvī nahīñ koī shaitāñ hai ġhāliban
gulshan meñ to guloñ kā kahīñ naam tak nahīñ
ye bāġhbāñ ke haath meñ ghoiyāñ hai ġhāliban
hotā hai us kī shoḳhi-e-guftār par gumāñ
lahbaḌ nahīñ hai ye koī Toiyāñ hai ġhāliban
hotā nahīñ hai ab jo namak-pāshiyoñ kā daur
bas ḳhālī ḳhālī un kā namak-dāñ hai ġhāliban
bulbul ġhunūdgī meñ hai aur phuul muzmahil
afyūnchī ye saarā gulistāñ hai ġhāliban
firqa-parastiyoñ ne khilā.e kuchh aise gul
samjhe ye log fasl-e-bahārāñ hai ġhāliban
yuuñ be-tahāsha piine lage mai-kade meñ shaiḳh
Tharrā bhī ab to bāda-e-irfāñ hai ġhāliban
rah kar hamārī gardish-e-qismat ke saath saath
chakkar meñ ḳhud bhī gardish-e-daurāñ hai ġhāliban
hurmat kā us kī aap ko vaa.iz jo hai ḳhayāl
bint-e-inab huzūr hī kī maañ hai ġhāliban
har samt jo jalājal-o-qarnā kā shor hai
ġhāzī-miyāñ ke byaah kā sāmāñ hai ġhāliban
ai 'shauq' har tarah ke nazar aa rahe haiñ husn
naḳhḳhās hī meñ kūcha-e-jānāñ hai ġhāliban