ye ḳhabar aa.ī hai aaj ik murshid-e-akmal ke paas
un ko dhamkāyā kisī ne railway-signal ke paas
husn-e-āvāra kā ai hamdam bhalā kyā e'tibār
aaj bhaTanāgar ke bas meñ hai to kal mittal ke paas
un kī vahshat se ye zāhir ho rahā hai ḳhud-ba-ḳhud
ye usī mauza.a meñ rahte haiñ jo hai mañgal ke paas
bāġhbāñ kī ab tavajjoh hai gulistāñ kī taraf
paude baḌh ke ḳhud lagā.e haiñ ka.ī kaT.hal ke paas
uTh gayā bazm-e-tarab se vo raqīb-e-rū-siyāh
rafta rafta haath jab pahuñchā mirā chappal ke paas
razm-gah meñ un se nazreñ laḌ rahī haiñ baar baar
ho rahā hai ek dañggal aur usī dañggal ke paas
log un kī bazm meñ rah kar bhī haiñ mahrūm-e-dīd
jāñ-ba-lab haiñ pyaas se baiThe hue haiñ nal ke paas
dekhiye ye bāda-e-rañgīñ kī adnā sī kashish
shaiḳh-sāhib aur khisak kar aa ga.e botal ke paas
nāseh-e-nādāñ kā shikva karnā hai bilkul fuzūl
vo to pāgal hai koī kyuuñ jaa.e phir pāgal ke paas
himmat-afzā.ī na jab ummāl-e-ma.amūlī ne kī
pahuñchī rishvat afsarān-e-darja-e-avval ke paas
'shauq'-sāhib mūnis-e-tanhā.ī kī hājat ho gar
to kisī din be-takalluf chaliye sevā-dal ke paas