mahv-e-naġhma mirā qātil jo rahā kartā hai
fann-e-mausīqī ko bhī zab.h kiyā kartā hai
ik vo zālim hī nahīñ mujh pe jafā kartā hai
āsmāñ bhī isī chakkar meñ rahā kartā hai
bārish-e-kaif-o-tarannum kā samāñ kyā kahiye
naġhma jaise lab-e-mutrib se chuā kartā hai
ab to har baat pe qur.ān uThā lete haiñ
ab to īmān sipar ban ke bikā kartā hai
uTh gayā mai-kade se shīsha-o-sāġhar kā rivāj
ab to chullū se har ik riñd piyā kartā hai
saath tasbīh ke dānoñ ke sunā hai ham ne
shaiḳh biryānī kī boTī bhī ginā kartā hai
maiñ jahāñ meñ kisī aa.iin kā pāband nahīñ
mere ghar aap hī qānūn Dhalā kartā hai
kyuuñ na vaa.iz ke taqaddus kā asar ho dil par
roz mai-ḳhāne meñ tasbīh paḌhā kartā hai
jis ko samjhe hue the sidq-o-safā kā haamī
jhuuT kī rassī vahī roz baTā kartā hai
azm-bil-jabr ke hāthoñ jo huā ho raushan
vo diyā bhī kahīñ jhoñkoñ se bujhā kartā hai
allāh allāh ye me.arāj-e-mohabbat ai 'shauq'
husn ab ishq kā paanī hī bharā kartā hai