Shauq Bahraichi

zahiran ye but to hain nazuk gul-e-tar ki tarah

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
zāhiran ye but to haiñ nāzuk gul-e-tar kī tarah
dil magar hotā hai kam-baḳhtoñ kā patthar kī tarah
jalva-gāh-e-nāz meñ dekh aa.e haiñ sau baar ham
rañg-e-rū-e-yār hai bilkul chuqandar kī tarah
mūnis-e-tanhā.ī jab hotā nahīñ hai ham-ḳhayāl
ghar meñ bhī jhanjhaT huā kartā hai bāhar kī tarah
aap behad nek-tīnat nek-sīrat nek-ḳhū
harkateñ karte haiñ lekin aap bandar kī tarah
jis ke haamī ho ga.e vaa.iz vo baazī le gayā
ahmiyat hai aap kī duniyā meñ joker kī tarah
allāh allāh ye sitam-gar kī qayāmat-ḳhez chaal
roz hañgāma huā kartā hai mahshar kī tarah
pūchhne vaale ġham-e-jānāñ kī shīrīnī na pūchh
ġham ke maare roz uḌāte haiñ muza.afar kī tarah
zeb-e-tan vaa.iz ke dekhī hai qabā-e-zar-nigār
sar pe amāma hai ik dhobī ke gaTThar kī tarah
dost ke īfā-e-va.ada kā hai ab tak intizār
guzrā october november bhī september kī tarah
naaz meñ andāz meñ raftār meñ guftār meñ
ardalī bhī haiñ collector ke collector kī tarah
nashsha-bandī chāhte to haiñ ye haamī diin ke
phir bhī mil jaa.e to pī leñ shīr-e-mādar kī tarah
ho rahā hai jis qadar bhī 'shauq'-sāhab insidād
utnī hī kaTtī hai rishvat muulī gājar kī tarah
Top Urdushayar.com