Mushfiq Khwaja

gham hi le de ke meri daulat-e-bedar nahin

Mushfiq Khwaja

Lahore, Punjab, Pakistan

1935-2005
ġham hī le de ke mirī daulat-e-bedār nahīñ
ye ḳhushī bhī hai mayassar koī ġham-ḳhvār nahīñ
ḳhud se bhī toḌ chukā huuñ maiñ ta.alluq apnā
ab mirī raah meñ haa.il koī dīvār nahīñ
aisī sunsān kabhī pahle na thī hijr kī raat
duur tak qāfila-e-sub.h ke āsār nahīñ
baat āsān farāvāni-e-ġham ne kar dī
ab mujhe shikva-e-nā-kāmi-e-iz.hār nahīñ
zinda rah luuñ kisī sūrat to baḌī baat hai ye
varna jaañ se to guzarnā koī dushvār nahīñ
dām-e-vahshat se rihā.ī nahīñ mumkin shāyad
huuñ asiir apnā bhī sirf us kā giraftār nahīñ
qissa-e-ġham bhī vahī maiñ bhī vahī dil bhī vahī
par vo pahlā sā ḳhulūs-e-dar-o-dīvār nahīñ
Top Urdushayar.com