kiyā jo e'tibār un par marīz-e-shām-e-hijrāñ ne
ThanDā.ī meñ dhatūrā de diyā īsā-e-daurāñ ne
phirāyā dar-ba-dar un ko jahāñbānī ke armāñ ne
nachāyā ḳhuub ye bandar junūn-e-fitna-sāmāñ ne
fujūr-o-fisq kī tārīkiyoñ meñ jab koī bhaTkā
dikhā.ī duur se hī us ko light us ke īmāñ ne
sakūñ miltā hai un ko aur na ham ko chain rātoñ ko
pareshāñ kar rakhā hai aap ke hāl-e-pareshāñ ne
na hai ye kaam vahshat kā na harkat dast-e-vahshat kī
galā ghoñTā hai dīvāne kā ḳhud us ke garebāñ ne
phirā kar dar-ba-dar chunvā.e tinke raat din un se
banāyā bevaqūf achchhā junūn-e-fitna-sāmāñ ne
dayār-e-dost meñ ushshāq bechāre jahāñ baiThe
pakaḌ kar kaan uThāyā ḳhāk-rūb-e-kū-e-jānāñ ne
guloñ meñ rañg-o-bū hai aur na ġhunchoñ meñ tabassum hai
bahāreñ gulsitāñ kī bech liiñ ahl-e-gulistāñ ne
janāb-e-nāseh-e-mushfiq nasīhat jab lage karne
dikhā.ī choñch hañs hañs kar unheñ chāk-e-garebāñ ne