Shauq Bahraichi

gin ke deta hai bala-noshon ko paimana abhi

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
gin ke detā hai balā-noshoñ ko paimāna abhī
vāqa.ī bilkul gadhā hai pīr-e-mai-ḳhāna abhī
guftugū karte haiñ bāham jām-o-paimāna abhī
qābil-e-tarmīm hai ā.īn-e-mai-ḳhāna abhī
ho na kyūñ-kar vārdāt-e-qatl rozāna abhī
kū-e-qātil meñ nahīñ chaukī abhī thāna abhī
dekhte to haiñ vo har shai be-niyāzāna abhī
raal girtī hai magar be-iḳhtiyārāna abhī
shaiḳh rahte haiñ sharīk-e-bazm-e-rindāna abhī
muft miltī hai to pī lete haiñ rozāna abhī
kyā kaheñ kis se kaheñ apne numā.indoñ kā haal
jaise Daaka mārtā phirtā hai sultāna abhī
kaise pahuñcheñ us ke dar tak paañv meñ tāqat nahīñ
vo hai ludhiyāna meñ aur hai duur ludhiyāna abhī
us lab-e-jāñ-baḳhsh meñ dekhī nahīñ jumbish hanūz
vaa.e nākāmī muqaffal hai shifā-ḳhāna abhī
baap kā saaya to bachpan hī meñ uTThā thā magar
shaiḳh milte haiñ ba-andāz-yatīmāna abhī
us ke aage kyā haqīqat āstīn o jaib kī
noch Daale dāman-e-mahshar bhī dīvāna abhī
mel to shaiḳh o barhaman meñ rahe bāham magar
gaḌbaḌā.e hai fazā-e-firqa-vārāna abhī
ham ne maanā ye ki zāhid hai buzurg-o-mohtaram
baat kartā hai magar kambaḳht bachkāna abhī
kar chuke haiñ naqd ḳhidmat jābirān-e-qaum kī
de chuke haiñ bech ke ghar-bār jurmāna abhī
dirham-o-dīnār ke hamrāh aksar besh-tar
jaan kā bhī de chuke haiñ log nazrāna abhī
Top Urdushayar.com