Shauq Bahraichi

raaz mein rakkhenge hum teri qasam ai naseh

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
raaz meñ rakkheñge ham terī qasam ai nāseh
le nikāl ab vahī gāñje kī chilam ai nāseh
ab ḳhudā ke liye rakh ham pe karam ai nāseh
haiñ pareshāñ tirī bakvās se ham ai nāseh
jhurriyāñ ruḳh kī jo paiġhām-e-qazā laa.ī haiñ
kab talak jāoge tum sū-e-adam ai nāseh
bāda-noshoñ ko na samjhāne kī koshish karnā
varna phir hogā tirā naak meñ dam ai nāseh
ba.ad muddat ke milā hai to chalā-chal mire saath
mai-kada yaañ se hai bas chaar qadam ai nāseh
pūchh le biitī hai kyā rindoñ ke hāthoñ in par
ye jo haiñ tere chachā shaiḳh-e-haram ai nāseh
kyā huā ḳhair to hai kaisī musībat aa.ī
kis ne maarā tujhe kyuuñ aañkh hai nam ai nāseh
bhuul kar bhī kabhī muñh un ke na lagnā nādāñ
kuchh ḳhabar hai baḌe beDhab haiñ ni.am ai nāseh
tujh ko bhī ishq-e-butāñ kā maza kuchh ho ma.alūm
tere palle hoñ agar dām-o-diram ai nāseh
tū hai kyā saarā jahāñ ḳhauf se kaañp uThtā hai
'shauq' uThāte haiñ jo shamshīr-e-qalam ai nāseh
Top Urdushayar.com