Shauq Bahraichi

gur but-e-kam-sin dam bichhae

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
gur but-e-kam-sin daam bichhā.e
bulbuleñ kyā haiñ hāthī phañsā.e
un se nigāheñ kaun milā.e
tevarī chaḌhī hai muñh haiñ phulā.e
masnad-e-zar pe baiThā hai vaa.iz
khīñseñ nikāle chañdiyā ghaTā.e
us se vo milte rahte haiñ aksar
roz unheñ jo chaa.e pilā.e
mahv-e-ḳhirām-e-nāz hai koī
zulfoñ meñ kaḌvā tel lagā.e
raat ko aksar shaiḳh-e-haram bhī
mai-kade pahuñche muñh ko chhupā.e
gardish-e-qismat gardish-e-daurāñ
jis ko chāhe ḳhuub nachā.e
jis ko bhī chāhe dost navāze
jis ko na chāhe Theñgā dikhā.e
letā hai dast-e-nāz ke bose
ham se achchhā life-boy
rok nigāh-e-hirs ko maalī
tere chaman ko charne na paa.e
Top Urdushayar.com