Shauq Bahraichi

na de saqi mujhe kuchh gham nahin hai

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
na de saaqī mujhe kuchh ġham nahīñ hai
ye kulhaḌ koī jām-e-jam nahīñ hai
vo rū-e-ḳhashmgīñ kuchh kam nahīñ hai
na ho gar haath meñ ballam nahīñ hai
bas ik bahr-e-banī-ādam nahīñ hai
jahāñ meñ varna gehūñ kam nahīñ hai
naqāb ulTī hai ye kah kar kisī ne
ki ab to koī nā-mahram nahīñ hai
hazāroñ chāhne vaale haiñ un ke
kam un kī aaj kal income nahīñ hai
jasāmat kah rahī hai ye kisī kī
koī shai aur juz balġham nahīñ hai
mudāvā kyā ho hirs-e-rāhbar kā
kahīñ is zaḳhm kā marham nahīñ hai
bane to saikḌoñ aa.iin lekin
kisī aa.iin meñ kuchh dam nahīñ hai
kahāñ rahbar meñ jauhar rahbarī ke
ki paanī hī to hai zamzam nahīñ hai
hamārī jur.atoñ kī daad detā
magar ab kyā kareñ rustam nahīñ hai
adā.eñ kuchh to un meñ aaj kī haiñ
magar puurā abhī koram nahīñ hai
likhā hai bazm-e-ishrat meñ jo har-sū
naved-e-ġham hai vo welcome nahīñ hai
sivā.e makr-o-kaid o hirs o fitrat
mohabbat kā yahāñ system nahīñ hai
mohabbat meñ tasanño ho to samjho
vo lauñDī hai koī begam nahīñ hai
jise samjhī hai sāda-lauh duniyā
hai behad kā.iyāñ būdam nahīñ hai
nazar aate haiñ jo qatre guloñ par
kisī kī raal hai shabnam nahīñ hai
zamīn o āsmāñ larzāñ haiñ jis se
mire naale haiñ atom-bomb nahīñ hai
nazar aatā nahīñ vo rū-e-rañgīñ
kahīñ bāzār meñ shaljam nahīñ hai
kahāñ aurat nahīñ hai sar-barahna
kahāñ ab parde kā mātam nahīñ hai
fareb-e-hazrat-e-vā.iz na pūchho
ibārat saaf hai mub.ham nahīñ hai
churā leñ jis ko duzdīda nigāheñ
ye dil vo dilrubā ḳhānam nahīñ hai
Top Urdushayar.com