Shauq Bahraichi

tark-e-lazzat pe mail jo ba-zahir hai mizaj

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
tark-e-lazzāt pe maa.il jo ba-zāhir hai mizāj
aaj to bagulā-bhagat jaise bane haiñ mahrāj
husn-e-maġhrūr o siyah-fām kā kaise ho ilaaj
shakl-o-sūrat to chuḌeloñ kī hai pariyoñ ke mizāj
chhoḌ aa.e haram-e-pāk meñ jins-e-īmāñ
laad kar lā na sake jab ki vatan tak hujjāj
aise bhī bānī-e-be-dād haiñ kuchh duniyā meñ
falak-e-pīr bhī detā hai jinheñ jhuk ke ḳhirāj
husn kī jitnī zamīñ hotī hai nā-qābil-e-kāsht
ishq paidā kiyā kartā hai sadā sab meñ anaaj
sab kuchh allāh ne de rakkhā hai māl-o-zar-o-sīm
haiñ magar ahl-e-duval aql-o-ḳhirad ke muhtāj
is ke aa.iin nahīñ ab jo amal ke qābil
to ise kar do retire ki purānā hai samāj
jab kabhī log taraqqī kī taraf baḌhte haiñ
Taañg uḌā dete haiñ kambaḳht yahī rasm-o-rivāj
haa.e kyā pūchhte ho murda diloñ kā ahvāl
miyāñ zinda haiñ magar beva haiñ un kī azvāj
nā-ḳhudā.ī kiyā kartā hai talātum ḳhud hī
khetī haiñ aap hī aa kar mirī kashtī amvāj
chain se shaiḳh-e-haram umr basar karte haiñ
rūpaya bank meñ hai miltā hai māhāna byaaj
kaag uḌ uḌ ke ye botal ke sadā dete haiñ
nashsha-bandī kī sunā hai koī mēting hai aaj
ab tū jo chāhe kare ishq-e-vatan meñ ai 'shauq'
husn kuchh bol nahīñ saktā hai de kar saurāj
Top Urdushayar.com