jo mast-e-jām-e-bāda-e-irfāñ na ho sakā
vo jānvar hī rah gayā insāñ na ho sakā
jo bhī sharīk-e-mahfil-e-rindāñ na ho sakā
vo bevaqūf kāmil-e-īmāñ na ho sakā
vaa.iz bhī haiñ vo zāt-e-girāmī ki al-hazar
ham-pallā jin kā dahr meñ shaitāñ na ho sakā
fitrat badal sakī na kabhī mere dost kī
lahbaḌ kisī tarah se bhī Toiyāñ na ho sakā
dāmān-e-hashr aa hī gayā kaam hashr meñ
neck-tie ban ga.ī jo girebāñ na ho sakā
insānoñ ke zamīr bike kauḌiyoñ ke mol
ġhalla magar girāñ rahā arzāñ na ho sakā
ye kashmakash zamāne kī allāh kī panāh
jiinā to jiinā marnā bhī āsāñ na ho sakā
vo hoñge kyā kisī se zamāne meñ ham-nabard
jin pāgaloñ se chaak girebāñ na ho sakā
batlā rahī hai shaiḳh kī taqrīr-e-muzmahil
kuchh aaj halve-māñDe kā sāmāñ na ho sakā
eḌī ragaḌ ke najd meñ dīvāna mar gayā
aur us ke naam aloT bayābāñ na ho sakā
rahzan libās-e-rāhbarī meñ na chhup sakā
aalū ne laakh chāhā pe ghuiyāñ na ho sakā
dilchasp ho sakā na kabhī shaiḳh kā bayāñ
kavvā ġharīb murġh-e-ḳhush-alhāñ na ho sakā
ai 'shauq' ronā aatā hai us bad-nasīb par
jo ḳhāk-rūb-e-kūcha-e-jānāñ na ho sakā