Shauq Bahraichi

idhar hai baad-e-sumum nalan udhar hai barq-e-tapan bhi aajiz

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
idhar hai bād-e-sumūm nālāñ udhar hai barq-e-tapāñ bhī aajiz
mirī bahāroñ se ho ga.ī ab harām-zādī ḳhizāñ bhī aajiz
ye hosh-o-aql-o-ḳhirad kī ḳhāmī pe hirs-e-rahbar kī tishna-kāmī
ki jis ko sairāb karte karte huā hai aksar kuaañ bhī aajiz
kiyā hai yuuñ azm-e-mustaqil ne ḳhilāf un ke mahāz qaa.em
ki aaj kal hai sitamgaroñ kī chunīñ bhī aajiz chunāñ bhī aajiz
tamām rindoñ ne mai-kade meñ ab aisī shorish machā rakhī hai
ki shīshe ulTe surāhī auñdhī hai merā pīr-e-muġhāñ bhī aajiz
jafā.eñ din raat dhāte dhāte sitam ke baanī bhī thak na jaa.eñ
shikār chūhoñ kā karte karte na hoñ kahīñ billiyāñ bhī aajiz
harīm-e-nāz-o-adā meñ un kī ye kaun dahqānī boltā hai
hai nā-tarāshīda guftugū se zabāñ bhī lutf-e-zabāñ bhī aajiz
Top Urdushayar.com