ho kaise kisī va.ade kā iqrār registered
jab ḳhud hī nahīñ hai mirī sarkār registered
kyā shaiḳh o barhaman pe kare koī bharosa
tasbīh registered na zunnār registered
is jumbish chitvan se koī bach nahīñ saktā
qātil kā mire hotā hai har vaar registered
chāhe bhī to ab tark-e-taġhāful nahīñ mumkin
hai dost kī ġhaflat kā ye āzār registered
muddat huī dam toḌ diyā amn-o-amāñ ne
ab ho ga.e ye hashr ke āsār registered
ho paayā tire husn-e-talavvun ke karam se
iqrār registered na inkār registered
duniyā hai mirī teġh kā maane hue lohā
hai saare zamāne meñ ye talvār registered
tujh par tire har fel par uThne lagī uñglī
tū ḳhud hai gazetted tirā kirdār registered
ab husn-faroshī ke liye misr ke badle
bhārat meñ hai naḳhḳhās kā bāzār registered
tū laakh kare chehra-e-zebā kī numā.ish
hogā na tire husn kā me.aar registered
chaḌhtā hai irāda mirā parvān tah-e-teġh
hotā hai mirā azm sar-e-dār registered
baiThā huā sikka hai mirī fikr-e-suḳhan kā
ai 'shauq' na hoñ kyuuñ mire ash.ār registered