aañsū mirī āñkhoñ se Tapak jaa.e to kyā ho
tūfāñ koī phir aa ke dhamak jaa.e to kyā ho
bas is liye rahbar pe nahīñ mujh ko bharosa
buddhū hai vo ḳhud raah bhaTak jaa.e to kyā ho
achchhī ye tasavvur kī nahīñ dast-darāzī
añgiyā kahīñ is but kī masak jaa.e to kyā ho
vaa.iz ye gulistāñ ye bahāreñ ye ghaTā.eñ
sāġhar koī aise meñ khanak jaa.e to kyā ho
ye chāh-kanī mere liye bānī-e-bedād
tū ḳhud isī koiyāñ meñ luḌhak jaa.e to kyā ho
ġhurbat se mirī sub.h o masā khelne vaale
terā bhī divālā jo khisak jaa.e to kyā ho
ye bār-e-amānat tū uThātā to hai lekin
nāzuk hai kamar terī lachak jaa.e to kyā ho
ruk ruk ke zarā haath baḌhā ḳhvān-e-karam par
luqma koī jaldī meñ aTak jaa.e to kyā ho
maiñ qaid huuñ par āh-e-rasā qaid nahīñ hai
vo jail kī dīvār taḌak jaa.e to kyā ho
ai sāqi-e-gulfām zarā soch le ye bhī
kulhaḌ tirī hastī kā chhalak jaa.e to kyā ho
jallād se ai 'shauq' maiñ ye pūchh rahā huuñ
tū bhī yūñhī phāñsī pe laTak jaa.e to kyā ho