hai shaiḳh o barhaman par ġhālib gumāñ hamārā
ye jānvar na char leñ sab gulsitāñ hamārā
thī pahle to hamārī pahchān sa.ī-e-paiham
ab sar-barahnagī hai qaumī nishāñ hamārā
har mulk is ke aage jhuktā hai ehtirāman
har mulk kā hai father hindostāñ hamārā
zaaġh o zaġhan kī sūrat mañDlāyā aa ke paiham
custodian ne dekhā jab āshiyāñ hamārā
makr-o-daġhā hai tum se ijz-o-ḳhulūs ham se
vo ḳhāndāñ tumhārā ye ḳhāndāñ hamārā
fariyād mai-kashoñ kī suntā nahīñ jo bilkul
bahrā zarūr hai kuchh pīr-e-muġhāñ hamārā
dar par hamāre gum ho har ik hasīñ to kaise
har āstāñ se ūñchā hai āstāñ hamārā
har tājvar kī is par lalchā rahī haiñ nazreñ
hai jaise halvā sohan hindostāñ hamārā
ho gar tumhārī marzī to bahr-e-ranj-o-ġham se
ho jaa.e paar beḌā allāh-miyāñ hamārā
chāh-e-zaqan se un ke sairāb to hue ham
mīThe kuoñ se achchhā khārā kuaañ hamārā
hoñ shaiḳh yā barahman sab jānte haiñ mujh ko
hai 'shauq' nām-e-nāmī ai mehrbāñ hamārā