dekhte haiñ jab kabhī īmān meñ nuqsān shaiḳh
aune-paune bech Daalā karte haiñ īmān shaiḳh
ba.ad muddat ke jahāñ meñ rahzanoñ ke din phire
sunte haiñ phir ho ga.e haiñ ab police kaptān shaiḳh
har zabāñ par zikr-e-haq aur dil meñ hai yād-e-butāñ
ye nahīñ khultā ki haiñ insān yā shaitān shaiḳh
ahl-e-shar to aap ko kahte haiñ amm-e-mohtaram
aur shaitāñ aap ko kahtā hai bhā.ī-jān shaiḳh
be-takalluf haath dho kar baiTh jaate haiñ zarūr
dekh lete haiñ bichhā jis jā pe dastar-ḳhvān shaiḳh
shauq hai lekin ḳhilāf-e-vaza.a apnī jaan kar
mol le kar ḳhud kabhī khāte nahīñ ik paan shaiḳh
go tajāvuz kar chuke haiñ aap bhī sau saal se
byaah kā rakhte haiñ lekin aaj bhī armān shaiḳh
jab ki bīmār-e-mohabbat kā nahīñ mumkin ilaaj
de rahe haiñ phūñk kar bekār use lobān shaiḳh
kaid ho hirs-o-havas ho yā fareb-o-makr ho
aap hī ke haath rahtā hai har ik maidān shaiḳh
'shauq'-sāhab un kī rag rag se haiñ vāqif ḳhuub ham
us kā ho jaa.e divāla jis ke hoñ mehmān shaiḳh