na jab dekhī ga.ī merī taḌap merī pareshānī
pakaḌ kar un ko jhoñTe khīñch laayā shauq-e-uryānī
libās ījād kar aisā koī ai aql-e-insānī
ki tan-poshī kī tan-poshī ho uryānī kī uryānī
ma.āz-allāh vo kāfir-adā kā husn-e-pinhānī
ki ab ḳhatre meñ hai har ik musalmāñ kī musalmānī
batā detī hai baḌh kar un ke jalvoñ kī farāvānī
ki ghar se be-hijābāna nikal aa.ī hai muġhlānī
ma.āz-allāh janāb-e-shaiḳh kā ye josh-e-īmānī
samajhte haiñ butoñ ke hukm ko āyāt-e-qur.ānī
jise dekho rakhe hai sar pe apne tāj-e-sultānī
hañsī ThaTThā samajh rakkhā hai har ik ne jahāñbānī
tamannā.eñ mirī pāmāl yuuñ kartā hai vo zālim
kisī mauza.a meñ jaise khet jote koī dahqānī
har ik kī ḳhātireñ hasb-e-marātib hoñgī dozaḳh meñ
vo nāseh hoñ ki zāhid hoñ ki mullā hoñ ki mullānī
ḳhudā mahfūz rakkhe fitrat-e-insāñ se aalam meñ
muaddab ho ke kahtā hai jise shaitāñ bhī ustānī
sadā hirs-o-havas se duur rahnā chāhiye hamdam
ye donoñ haiñ baḌī fitna jeThānī hoñ ki devrānī
ba-qadr-e-zauq takmīl-e-tamannā 'shauq' kyā hotī
ki ham ne aurteñ pā.īñ kabhī andhī kabhī kaanī
haiñ yaksāñ zāhid-e-kam-aql hoñ yā nāseh-e-nādāñ
khilaune sab barābar haiñ vo chīnī hoñ ki jāpānī
vo nāseh hoñ ki vaa.iz hoñ ki qaa.id hoñ ki rahbar hoñ
inhīñ logoñ se phailī hai jahāñ meñ nasl-e-insānī
jafā.eñ ham pe hotī haiñ karam ġhairoñ pe hotā hai
yahāñ girte haiñ ole aur vahāñ barsāte haiñ paanī
mujhe barbād kar ke dost pachhtāne se kyā hāsil
churā kaare kunad aaqil ki baaz aabid pashemānī
zarā hushiyār rahnā rahbaro is hirs-e-duniyā se
na luḌhkā de tumheñ dozaḳh meñ ye shaitān kī naanī