Shauq Bahraichi

shaiKH o barhaman donon hain bar-haq donon ka har kaam munasib

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
shaiḳh o barhaman donoñ haiñ bar-haq donoñ kā har kaam munāsib
bech leñ fauran dair-o-haram bhī paa.eñ kahīñ gar daam munāsib
merā to har ik fel abas hai ġhair kā har iqdām munāsib
vāqi.a ye hai piiv jise chāheñ us kā suhāgan naam munāsib
vaqt kā paiham yuuñ hai taqāzā rahbar-e-sad-sāla ko haTā do
jaise purānī chiiz kā akasr hotā hai nīlām munāsib
ḳhauf hai din ko dekhe na duniyā ho na taqaddus aap kā rusvā
qasd hai mai-ḳhāne kā jo vaa.iz is ke liye hai shaam munāsib
tere taġhāful ne kiyā zaḳhmī terī adāoñ ne hameñ maarā
chāhne vāloñ ke liye zālim the yahī atom-bām munāsib
tujh ko ḳhabar kyā is kī nahīñ hai sāthī kahāñ se pahuñche kahāñ tak
hosh meñ aa ārām ke bachche ab hai nahīñ ārām munāsib
ye tirī sāda-lauhiyāñ nāseh rañg kisī din lā ke raheñgī
ḳhuub banegī terī hajāmat mil ga.e gar hajjām munāsib
sīm-o-javāhar māh-laqā le apnī harīm-e-nāz sajā le
ḳhuub maze duniyā ke uḌā le haiñ abhī ye ayyām munāsib
baat bhī un se kī na kisī ne aarzū dil kī rah ga.ī dil meñ
ghar meñ hī baiThī rah ga.ī laḌkī aayā na ik paiġhām munāsib
shaiḳh o barhaman se koī kah de ruḳh na kareñ bhūle se udhar kā
ye hai mai-ḳhāna nahīñ is meñ dāḳhila-e-ayyām munāsib
jaur-o-sitam Dhāne meñ jo paiham aayā hai un ke ruḳh pe pasīna
hai mire armānoñ ke nahāne ke liye ye hammām munāsib
baat koī iz.hār-e-haqīqat meñ bhī uThā rakhnā nahīñ zālim
'shauq' kabhī ash.ār meñ jaise hotā nahīñ ilhām munāsib
Top Urdushayar.com