Shauq Bahraichi

KHauf ek dil mein samaya laraz uTTha kaghaz

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
ḳhauf ik dil meñ samāyā laraz uTThā kāġhaz
kāñpte hāthoñ se zālim ne jo moḌā kāġhaz
na to niilā na to piilā na to ujlā kāġhaz
chāhiye un ke talavvun ko tirañgā kāġhaz
safha-e-dil pe nazar aate haiñ ab daaġh hī daaġh
god Daalā kisī kambaḳht ne saarā kāġhaz
bāġhbāñ ke sitam-o-jaur jo likhte baiThe
lag gayā ram kā ram aur dasta kā dasta kāġhaz
jab bhī vo baiThte haiñ likhne ko iqrār-e-vafā
gaañv bhar meñ kahīñ miltā nahīñ purza kāġhaz
un ke hāthoñ meñ qalam-dān-e-hidāyat ab hai
jo nahīñ jānte sīdhā hai ki ulTā kāġhaz
kyā kahe un ke taḳhayyul kī diyānat koī
jaise dekhā hai kabhī baañs kā moTā kāġhaz
zulm Dhā kar bhī abhī tak hai koī be-taqsīr
roz likhne pe bhī hai saade kā saada kāġhaz
dāstāñ gesu-e-pechāñ kī jo likhne baiThe
fountain-pen meñ hamāre bahut uljhā kāġhaz
dam-e-tahrīr na zāhir ho kahīñ dil kā ġhubār
dekhiye hone na paa.e kahīñ mailā kāġhaz
bhejnā hai mujhe ik māh-jabīñ kā ḳhat-e-shauq
'shauq'-sāhab kahīñ miltā nahīñ baḌhiyā kāġhaz
Top Urdushayar.com