ye hasīñ hoñge mehrbāñ mire ba.ad
anDe deñgī ye murġhiyāñ mire ba.ad
maiñ to mar jā.ūñgā magar socho
kyā kareñgī tumhārī maañ mire ba.ad
ḳhuub abhī qahqaha lagā lo tum
bhoñ-bhoñ ro.o.ge mehrbāñ mire ba.ad
jab na dekhegā vo bahār-e-chaman
mar hī jā.egā bāġhbāñ mire ba.ad
baḌh ga.ī hai jo aaj kal mire dost
khīñchī jā.egī vo zabāñ mire ba.ad
dekh kar hashr-ḳhez hañgāme
rafū-chakkar huī amaañ mire ba.ad
tum shikam-ser kis tarah hoge
kaun pāTegā ye kuaañ mare ba.ad
gul to gul tañg aa ke kāñTe bhī
deñge gulchīñ ko gāliyāñ mire ba.ad
jis meñ aksar ḳhulūs miltā thā
ho ga.ī band vo dukāñ mire ba.ad
jahāñ jhukte haiñ sar salātīñ ke
hai muqaffal vo āstāñ mire ba.ad
roz uḌāte haiñ jo man-o-salvā
vo chabā.eñge Thurriyāñ mire ba.ad
mire qābil nahīñ abhī ye hasīñ
ye chaleñgī davanniyāñ mire ba.ad
lab-e-shīrīñ kī qadr hai mujh se
muñh pe bhinkeñgī makkhiyāñ mire ba.ad
sar-bulandī jinheñ nasīb hai 'shauq'
kal vo khā.eñge jūtiyāñ mire ba.ad