Shauq Bahraichi

KHilaf-e-hangama-e-tashaddud qadam jo humne baDha diye hain

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
ḳhilāf-e-hañgāma-e-tashaddud qadam jo ham ne baḌhā diye haiñ
baḌe baḌe bāniyān-e-jaur-o-sitam ke badhiye biThā diye haiñ
ḳhayālī ġhunche khilā diye haiñ ḳhayālī gulshan sajā diye haiñ
na.e madārī ne do hī din meñ tamāshe kyā kyā dikhā diye haiñ
koī to hai be-ḳhud-e-ta.ayyush koī hai mahv-e-husūl-e-sarvat
khilaune hāthoñ meñ rahbaroñ ke ye kis ne lā kar thamā diye haiñ
vatan meñ shām-o-sahar jo hotī hai parvarish shaiḳh o barhaman kī
yatīm-ḳhāna meñ in yatīmoñ ke naam kis ne likhā diye haiñ
ye shaiḳh haiñ aur ye barhaman haiñ ye vaa.iz o sadr-e-anjuman haiñ
zamāna pahchāntā hai sab ko har ik pe lebal lagā diye haiñ
jafā-shi.āroñ meñ shāyad aa jaa.e is tarah kuchh asar vafā kā
mañgā ke murġhiyoñ ke anDe batoñ ke nīche biThā diye haiñ
Top Urdushayar.com