Shauq Bahraichi

ai ham-safir talKHi-e-tarz-e-bayan na chhoD

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
ai ham-safīr talḳhī-e-tarz-e-bayāñ na chhoḌ
tū gāliyāñ diye jā hameñ gāliyāñ na chhoḌ
vaa.iz butoñ ke chāh-e-zaqan kā bayāñ na chhoḌ
varna kahīñ na pā.egā paanī kuaañ na chhoḌ
pahuñchā de makr-o-kaidd ko hadd-e-kamāl tak
ai dost nā-tamām koī dāstāñ na chhoḌ
in rahbarān-e-qaum se yā-rab bachā mujhe
char leñgī sab chaman mirā ye bakriyāñ na chhoḌ
phūloñ se bhar sake na agar dāman-e-havas
sehn-e-chaman kī ghaas bhī ai bāġhbāñ na chhoḌ
be-vasvasa ġharīboñ pe bhī haath saaf kar
mil jaa.eñ to javār kī bhī roTiyāñ na chhoḌ
dīvānoñ ke to jaib o girebāñ kā zikr kyā
gar dhajjiyāñ bhī haath lageñ mehrbāñ na chhoḌ
insāniyat meñ baaqī hai saffāk dam abhī
ik haath kas ke aur use nīm-jāñ na chhoḌ
zālim usī ne naak meñ dam kar diyā tirā
ragḌe jā ḳhuub gardan-e-amn-o-amāñ na chhoḌ
ab zulm meñ izāfa na kar bāni-e-jafā
qasr-e-sitam ke aage koī sā.ebāñ na chhoḌ
rañj-o-alam kā zā.iqa ik roz tū bhī chakh
ye ḳhaas jaunpur kī tū mūliyāñ na chhoḌ
ai 'shauq' ye jafā.eñ haiñ kyā ye sitam haiñ kyā
har imtihāñ meñ baiTh koī imtihāñ na chhoḌ
Top Urdushayar.com