īmān kī laġhzish kā imkān are tauba
bad-chalnī meñ zāhid kā chālān are tauba
uTh kar tirī chaukhaT se ham aur chale jaa.eñ
england are tauba jāpān are tauba
hai god ke pāloñ se ab ḳhauf-e-daġhā-bāzī
ye apne hī bhāñjoñ par bohtān are tauba
insānoñ ko din din bhar ab khānā nahīñ miltā
muddat se farokash haiñ ramzān are tauba
lillāh ḳhabar liije ab qalb-e-shikasta kī
girtā hai mohabbat kā dālān are tauba
dāmān-e-taqaddus par dāġhoñ kī farāvānī
ik maulvī ke ghar meñ shaitān are tauba
ab ḳhairiyateñ sar karī ma.alūm nahīñ hotīñ
gañjoñ ko hai nāḳhun kā armān are tauba
mashriq pe bhī nazreñ haiñ maġhrib pe bhī nazreñ haiñ
zālim ke taḳhayyul kī lambān are tauba
ai 'shauq' na kuchh kahiye hālat dil-e-muztar kī
hotā hai masīhā ko ḳhafqān are tauba